Friday, March 20, 2009

My abbi's letter to me











Bismi'Allah ir'Rehman ir'Raheem
Az:Muzaffarpur
31 July,2007
My dear Yasir Sallamahu,
As'salam alaikum.Bad dua-i-khair maloom ho ke humlog bafazl-i-khuda-i-kareem khair-o-aafiyat se hain aur tum azeezon ki khair-o-aafiyat ke liye dua go hain.In dino yahan ka mausam taqreeban do hafte se bilkul sharabor hai.har waqt jhadi si lagi rehti hai.Sara shahar bilkul jal thal ban gaya hai.Apna ilaaqa bhi buri tarah is ki zad mein hai.Isi bina par mehfil(13 Rajab ki) ko bhi 22 Rajab tak ke liye multawi kar dena pada hai.Murshid Sallamahu aaya karte they.Bahut khuloos ke sath dilchaspi le rahe they.Ab inshallah 22 ko yeh mehfil hogi.Barish mein bhi kami aati ja rahi hai.
Tumhara telephone jo aa jaya karta hai to bada sukoon milta hai.MassCom.mein dakhila mil janey ke imkan ki khabar ko sunkar intehayi khushi hui.Khuda ki inayat se yeh to badi achchhi khabar haiLekin apni Ammi ke sath phone par jo tumhari baatein hui hain is se andaza hota hai ki tum kuchh kuchh pus-o-pesh mein lagte ho aur kuchh hichkichahat si maloom hoti hai.Lekin bhayi! yeh to ain tumhare zauq aur ruj'haan ke mutabiq hai.Tumhein to iske sath ek zehni lagao aur hum-aahangi rahi hai.Is subject ki aala taleem aur woh bi ek badi university mein tumhare zauq ko aur bhi ta'abdar kar degi.Aaj ke is jadeed daur ki barq raftar tarz-i-zindagi mein iski to badi ahmiyat aur jazabiyat hai.Tumhari posheeda salahiyaton ko is se jila milegi aur inshallah tum zaroor ek munfarid a'ala muqaam bana sakoge.Tumhare career ke build-up mein is se badi madad milegi.Inshallah!Maulana Shabib Sahab se bhi phone par batein hoti hain.Woh bhi bahut khush hain.Bahut duyaein de rahe they aur unka bhi yahi khayal hai.Waise tum khud zaheen ho.Khoob soch samajh kar,oonch-neech ko janch padtal kar ke thande dil se ghaur karo aur ek faisla apnao.Aql-i-saleem khud hi rehbari karti hai.Waise to parhne likhne ke liye,mutalaye aur ilm mein izafey ke liye poori ki poori umr bhi nakaafi hoti hai.Waise to khuda-i-zuljalal bahar haal tumhari madad karega.
Humlogon ki rozana ki zindagi mamool ke mutabiq rehti hai.Pursukoon aur khush'hal sab kaam husn-o-khoobi se ho jata hai.Annu Miyan aksar aa jaya karte hain.Akhbarwala akhbar de jaya karta hai
Baqiya sab khairiyat hai.Ammi duyaein keh rahi haina.Apne doston aur sathiyon ko duyaein keh dena.Khusoosan Muslim Miyan,Misam Sallamahu,Abis Sallamahu aur Danish Sallamahu ko.Ab mein chalta hoon.
Faqat dua go
Abbi
31-07-2007

No comments: