Saturday, November 22, 2008

A LETTER OF A FATHER TO HIS SON


Bismehi T'ala
07th September,2006
MUZAFFARPUR

Azeez az jaan Misam sallamahu t'ala,

As'salam Alaikum! bad dua'e tarraqqi-i-hayat-o- daraja'at maloom ho ke ba'fazl-i-khuda humlog ba'khair-o- aafiyat hain sab kuchh theek thak chal raha hai.Rozana ki zindagi hasb-i-mamool apni raftar se chalti rehti hai.Al'batta tumhari ghair maujoodgi behad geraan guzarti hai.Bahut kami mehsoos hoti hai.Tumhari Ammi ko har lamha tumhari yadein aur tumhara khayal aata rehta hai.Yasir Miyan Sallamahu bhi akele-akele rehte hain, kuchh badlay-badlay se dikhayi dete hain.Muslim Miyam bhi to ab yahan nahi hain isliye tanhayi aur bhi khalti hai.Qareeb-qareeb Muslim(My childhood friend, at that time he was in IIMC,New Delhi,and presently in Hindustan Times) ka phone rozana aata hai.Abhi isi saneechar ko(2nd September,2006) Dilli (Delhi) Doordarshan par "GEN-NEXT" ka jo programme 'Rajiv Remembering' ke unwaan se telecast hua tha.Uske shorka(attendants) mein Muslim Miyan bhi thay.Un'hone pehle se programme ki it'tela de di thi.Humlogon ne yeh programme dekha tha, bahut achha laga.Electronic Media mein ghaleban unka yeh pehla-pehla 'exposure' tha.12 Rajab ki mehfil bhi bahut hi kamyab rahi.tumhari ghair-maujoodgi be-had khal rahi thi.Intezamat ke silsile mein bar bar tum yaad aa rahe thay.Saamayeen hazraat mein se bhi mutaddid sahebo ne poochha.Kafi achha aur bada majma tha.Maulana Shabib Saheb in dino dilli mein thay.Isliye jab shoara hazraat padhh chuke to Assad Yawar Saheb ne ek mukhtasar magar badi achhi taqreer ki.

Aaj 07 September(07th september) hai.Tumhein yahan se gaye hue dedh(1&1/2) maheenay hone ja rahe hain.Itne lambe dino tak is se pehle kabhi alag-alag rehna nahi pada tha.Tum kaise ho?Dil lag raha hai na?Shuru-shuru mein to dil zaroor ghabrata hoga.Magar jaise jaise din guzarte gaye honge maahaul se hum-aahangi, sathi tol'aba aur shanasaon se qurbat badhti jati hogi , to khud khud ba'khud woh beganapan, doori aur ajnabiyat ka ehsaas kamzor padta hua mehsoos hota hoga aur tumne in tabdeel shuda halaat ke sath mafahemat kar li hogi.Is se parey ek khush khabari ki baat yeh hai ke tum Aligarh (Muslim University) ke tol'aba mein shamil ho gaye.Aligarh ka ilmi maahaul,uska shandar tradition,Hindustan ke muslim ma'ashre par uske hamageer asaraat,ummat-i- muslema' ke nishat-i-saaniya(rannaisance), uska kaleedi kirdar (key role).In sab ne mil kar Aligarh ko jo ek image diya hai woh ek apne aap ko wabasta pana ba'jaye khud ek fakhr ki baat hai.Mujhe yaqeen hai ki is se puri tarah faiz-i-yaab hoge.Khoob mehnat aur lagan ke saath kaam loge.Apne target ko kabhi bhi ojhal na hone doge.Apni hausla-mandi aur khuda-i-zul jalal ki zaat par bharosa rakhoge.Ek baat aur ...Jinnah Sahab(Mohammad Ali Jinnah) ke un ta'assuraat ko zehen mein rakhoge jiska izhar unhone apne career ke shuru'aat ke liye apne shahar ko khairabad kehte waqt kiya tha:
"I set out to conquer the world equipped with nothing but youth,faith,courage and ambition !"
Azeezam sallamahu! meri dua hai ke khuda wand-i-alam ba'tufail-i-Muhammad wa'Aley Muhammad Alaihimus'salam tumhare iradon mein, azm-o-istiqlal mein,karzar-i-hayat ki sargarmiyon mein kamyab-o-faiz-i-yaab kare aur tum apne aap ke liye, apne waladain ke liye, qaum-o-millat ke liye, deen-o-mazhab ki khidmat ke liye ek geraan qadr sarmaya ban jao.Aameen,summa aameen !!
Mein achha hoon.Tabiyat theek hi rehti hai.Rozana ka maamool ba'dastoor wahi rehta hai.Guzishta hafte Yasir sallamahu ke humrah Dr.Dubey ke yahan gaya tha.Aaj chhata(6th) din hai.Dawayein chal rahi hain.Kuchh-kuchh afaqa sa lagta hai.Khuda ki zaat se ummeed hai zaroor fayeda pahunchegaInshallah! Tumhari Ammijan ko tumhari fikr lagi rehti hai.Zahir hai unke paas maan ka dil hai.Kaisa khana khate honge..........kapdo ki dhulayi kaise hoti hogi..........itni shiddat ki garmi pad rahi hai........dhoop mein kahan kahan jana hota hoga..........
Mein apne khat ko abhi yaheen tak likh chuka tha ki isi dauraan Yasir Miyan ne aakar Sa'eed sallamahu ke hathon bheja hua tumhara dasti khat la kar diya.Fauri taur par badi musarrat hui.Khat ko padha to dil aur bhi khush ho gaya.Thodi si tafseel se agahi ho gayi .Khushi aur itminaan ki baat hai ke tum rafta-rafta kar ke badalte hue maahaul ke sath hum-ahang hote gaye ho.Apne logon se doori to khatakti hi hai aur khatakti hi rahegi.Yeh taqaza-i-fitrat hai.Magar inhi halaat ke sath compromise karke insan qadam aagay badhata hai.Zindagi ek challenge hai aur inhi ke sath fatehana andaaz se panja-aazmayi karna hauslamand insano ka turra-i-imtiyaz hai.Tumhare khat ko padh kar bada achha laga.Jee chahne laga ismein abhi kuchh aur bhi likha hota.Hum sabo ne ek sath is khat ko padha.Chhotay Miyan rozana aate hain.Tumhein poochha karte hain.Annu kabhi-kabhi aa jate hain.Uske manjhle bhai ka rishta Berhampura ke Abrar Jafari Sahab ki sahabzadi ke sath tay pa gaya hai.Isi 04 September(2006) ko mangni ki rasam ho gayi.Tumhari Ammi aur Yasir gaye thay.Ek khushi ki baat hai ke tumhara passport wala kaam ho gaya hai.Zeeshan sallamahu ki shadi ho gayi.Da'awat-i-walima mein humlog 10 september ko patna ja rahe hain.Tum apne khane-peenay ka khayal rakha karoge.Horlicks aur Chyawanprash waghairah ka istema'al rakhoge.Dekho kotahi nahi karna.Achha ab rukhsat hota hoon.Abis sallamahu ke yahan humlogon ki taraf se sab ko poochh lena.Duayein pahuncha dena.Jin dosto ka apne khat mein tumne naam liya hai unse ek tarah ka dhundhla sa ghayebana ta'aruf sa lagta hai.Meri taraf se unhein nek khwaheshat aur duayein pahucha dena.Ibnul Hassan ko tumhari taraf se poochh liya gaya hai.Hum sab logo ki duayein tumhare sath hain.Jawab zaroor dena.Apna khayal rakhna.Khuda Hafiz.
Faqat
Abbi
(Mirza Abid Hussein)

1 comment:

Hassan said...

Really a nice letter dear...very emotional.. aankhon mein aansu aa gaye.. Allah tumhein kaamyaab kare...